Gunahon ka Devta — Full Hindi Audiobook · Podcast episode
Gunahon Ka Devta - Part 12 (Sudha Ka Khat, Binti Ke Ansoo Aur Bisariya Ka Mazak)
Lekhak: Dharamvir Bharati
2 June 2026 · 30 min · Roshni ki aawaaz mein
Is episode mein
Namaste dosto! 'Baatcheet and Hindi Stories with Roshni' ke Episode 12 mein aapka swagat hai. Aaj hum us sannaate ko mehsoos karenge jo Sudha ke jaane ke baad Shukla House mein chha gaya hai.
Shadi ke baad Chander behad thak chuka hai, uska mann ek ujde hue ghosle ki tarah bejaan ho gaya hai. Jab woh Dr. Shukla ke ghar jata hai, toh use poore ghar mein ek bhayanak khamoshi milti hai.
Binti ro-rokar dubli ho gayi hai aur usse shikayat karti hai. Tabhi aata hai Sudha ka hara khat, jismein uska dular, uski bechaini aur Chander ke liye uski fikr chupi hai. Chander is chithi ko padhkar chupke se rota hai.
Lekin is dukh ke beech, Chander ke chehre par hansi laut-ti hai jab use Sudha ki ek purani shararat yaad aati hai. Aur maza tab aata hai jab Binti use batati hai ki uska tutor, Kavi Bisariya, uske prem mein pagal ho gaya hai aur usne ek kavita sangrah 'Binti' naam se likha hai. Chander Bisariya ko apne psychological jaal mein phasata hai aur use aisa darrata hai ki woh gusse mein bhag jata hai.
Chander ka use 'Binti' ke badle 'Ganderiyan' naam rakhne ka sujhaav dena behad mazedar hai.
Dharamvir Bharati ki is adbhut rachna ko meri aawaz mein suniye. Headphones lagaiye aur purane Allahabad ke un jazbaaton aur halki nok-jhok mein kho jaiye.