1984 by George Orwell · Part 10 of 12

1984 Hindi Audiobook (Part 10) Ek Naya Dushman - Kitaab ka Raaz | George Orwell Storytelling Podcast

22 May 2025 · 59 min

Is episode mein

Doston George Orwell ki 1984 novel ka dasvan bhaag aapke liye aah main lekar aa rahi hoon.

Party kaise palat deti hai sach ko? Eurasia se Eastasia tak ka safar aur Winston ke haath lagi woh mashhoor kitaab jismein chhupe hain Party ke raaz.

Kya aap jaanana chahte hain

- Party kaise itihaas badalti hai?

- Goldstein ki kitaab mein kya hai?

- "Agyaan hi Shakti Hai" ka arth?`

Poora adhyaay suniye aur Orwell ki is duniya mein kho jaiye.

Raaton raat desh ka sabse bada dushman badal diya gaya! Is episode mein hum dekhenge ki Satya Mantralaya mein achanak kya bhayankar mahol ban jata hai jab Party ye ghoshit karti hai ki unki dushmani ab Eurasia se nahi balki Eastasia se hai. Pura history ek jhatke mein badal diya jata hai! Par asli twist tab aata hai jab Winston apne aur Julia ke us secret kamre mein wapas laut-ta hai, aur aakhirkaar wo 'Book' (Emmanuel Goldstein ki ban ki hui kitaab) padhna shuru karta hai. Yeh kitaab 1984 ki duniya ka sabse kala sach kholkar rakh deti hai! Hum jante hain ki "Yuddh hi shanti hai" (War is Peace) aur "Agyanta hi taqat hai" (Ignorance is Strength) ka asli matlab kya hai. Party jaan-boojh kar resources ko barbaad karti hai taaki aam janta gareeb aur anpadh rahe. Jab Winston padh raha hota hai, toh Julia wahan so jati hai... lekin use ab yakeen ho gaya hai ki wo pagal nahi hai, sach abhi bhi zinda hai!

About the Book & Author George Orwell ne '1984' ke andar ek aur puri kitaab likh di thi jise 'The Theory and Practice of Oligarchical Collectivism' (Goldstein's Book) kaha gaya. Orwell (1949) ne is book-within-a-book format ka use karke duniya bhar ke political systems ki reality expose ki. Unhone samhjhaya ki 'Permanent War' (hamesha chalne wala yuddh) ka asli maqsad dushman ko harana nahi hota, balki apne hi desh ke logon ko darr aur poverty mein rakhna hota hai, taaki ruling class hamesha power mein rahe. Orwell ka society ke classes (High, Middle, Low) ko define karne ka tarika aaj ki capitalist aur dictatorial dono societies par fit baithta hai. Ye kitab sirf fiction nahi, ek bohot deep political aur philosophical lesson hai jo har samajhdar insaan ko sunna chahiye!

Podcast: George Orwell in Hindi — 1984 aur Animal Farm