Chandrakanta (1888) · Part 3 of 20
Part 18 - Tasveer Wala Garden Aur Khufiya Auraton Ka Jaal! Chandrakanta Hindi Audiobook
23 July 2026 · 42 min
Is episode mein
Chandrakanta Ep. 18: Tasveer Wala Garden! Mayavi Auraton Ka Jaal Aur Badrinath Ka Intezar
Kunwar Virendra Singh jab us teesre baag mein pahunchte hain jahan unhone Rajkumari Chandrakanta ki tasveer dekhi thi, toh unka saamna unhi mayavi auraton se hota hai jinhone unhe qaid kiya tha! Ek anokhi kasam jo unke rishte ko hamesha ke liye badal degi! Aakhir kya hai is kasam ka sach? Janne ke liye video poori sunein!
About this Episode Devaki Nandan Khatri ke is adbhut upanyas ke 18ve bhag mein, kahani ek behad jazbaati aur rahasyamayi mod par hai. Kunwar Virendra Singh us khas baag ki taraf nikalte hain jahan unhone Rajkumari Chandrakanta ki khoobsurat darbar wali tasveer dekhi thi. Yeh wahi jagah hai jahan pehle kuch auraton ne unhe qaid kar liya tha aur behosh kar ke le gayi thi.
Wahan unki mulakat unhi captors se hoti hai aur ek ajeeb sauda hota hai. Kasam khayi jaati hai ki ek na ek din Rajkumari Chandrakanta Kunwar ko zaroor milengi, lekin tab tak is rahasya ko kisi ke bhi samne jahir nahi karna hai jab tak dono ka samna na ho jaye. Yeh kasam kya unhe manzil tak pahunchayegi ya kisi naye mushkil mein dalegi?
Doosri taraf, Maharaj Jaisingh darbar mein behad bechaini se Pandit Badrinath ka intezar kar rahe hain. Darbar ka samay bitne par bhi woh wahan se uthne ko taiyyar nahi hain. Tej Singh unhe tasalli dete hain ki Badrinath doudne mein behad tez hain aur jaldi hi koi badi khabar lekar loutenge. Ayyari aur dhasu twist se bhara yeh episode abhi sunein!
Keywords: Chandrakanta Ep 18, Mayavi Aurat, Chandrakanta ki tasveer, Pandit Badrinath, Maharaj Jaisingh darbar, Baatcheet with Roshni, Devaki Nandan Khatri, Hindi Audio stories.