Autobiography of a Yogi · Part 24 of 26
Part 24 * Gandhi ji se Mulaqat | Autobiography of a Yogi in Hindi Audiobook (Chapter 43 & 44)
3 Aug 2025 · 1 ghanta 35 min
Is episode mein
Kya mrityu ke baad jeevan hai? Suniye jab Paramahansa Yogananda apne guru Sri Yukteswar se unki samadhi ke baad mile!
"Autobiography of a Yogi" Hindi Audioboon series mein aaj hai episode number 24 ki baari, main aapke liye is episode ke ke do sabse adbhut adhyay (Chapters 43 & 44) ka Hindi anuvaad lekar aayi hoon.
Is episode mein aap sunenge
Adhyay 43: Sri Yukteswar ji ka Punarutthan
Ye kahani shuru hoti hai Mumbai ke ek hotel kamre mein, jahan Yogananda ji ko Bhagwan Krishna ke divya darshan hote hain. Iske theek baad, ek chamatkar hota hai - unke swargvasi guru, Sri Yukteswar ji, unke saamne ek naye, jeevit sharir mein prakat hote hain! Unke beech hui is baatcheet mein mrityu ke baad ke jeevan, astral world (Hiranyaloka), aur karma ke gehre rahasya khulte hain. Sri Yukteswar batate hain ki mrityu ant nahi hai, balki ek naye aayam mein pravesh hai. Unhone astral world ki sundarta, wahan ke jeevan, aur aatma ki mukti ki yatra ka vistar se varnan kiya hai. Ye ansh aapko jeevan aur mrityu ko ek nayi drishti se dekhne par majboor kar dega.
Adhyay 44: Mahatma Gandhi ke Saath Wardha Mein
Iske baad, hum Yogananda ji ke saath Wardha ashram chalte hain, jahan unki mulaqat rashtrapita Mahatma Gandhi se hoti hai. Is aitihaasik baatcheet mein, do mahaan aatmaayein ahimsa, satyagraha, aahar, aur adhyatmikta par apne vichaar saanjha karti hain. Aap janenge ki Gandhi ji ki adhyatmik shakti ka srot kya tha aur unhone Kriya Yoga mein apni ruchi kaise vyakt ki.
Ye episode Paramahansa Yogananda ke jeevan ke do sabse mahatvapurna anubhavon ka sangam hai.
Chapters 00:00 - Episode 24 ka Parichay 00:27 - Adhyay 43: Sri Yukteswar ji ka Punarutthan 01:50 - Guru Sri Yukteswar ka Chamatkari Prakaṭya 03:37 - Mrityu ke Baad ka Jeevan: Hiranyaloka ka Rahasya 06:31 - Teen Sharir: Sthool, Sookshm aur Kaaran Sharir ka Gyan 09:05 - Sookshm Jagat (Astral World) kaisa dikhta hai? 15:23 - Kaaran Jagat (Causal World) aur aatma ki mukti 22:20 - Sookshm Jagat mein jeevan ki avadhi 26:22 - Maya aur teen shariron ka bandhan 30:42 - Mukt aatma ka anubhav 37:13 - Karma ka bandhan kaise kaam karta hai? 41:17 - Kaaran Jagat mein pravesh ki yogyata 46:53 - Guru ka antim sandesh 52:06 - Adhyay 44: Mahatma Gandhi ke Saath Wardha Mein 55:32 - Satyagraha ke 11 vrat 59:01 - Gandhi ji ke Kutir Udyog aur Charche par vichaar 1:03:24 - Gauraksha par Mahatma Gandhi ke vichaar 1:08:21 - Gandhi ji ki patni Kasturba ka tyag 1:13:35 - Mahatma Gandhi ki Ahimsa ki vyakhya 1:18:36 - Gandhi ji ka vishwa shanti ka sandesh 1:22:37 - Gandhi ji ka aakhri sandesh aur unki viraat soch 1:28:10 - Mahatma Gandhi ki hatya par Jawaharlal Nehru ke shabd 1:33:28 - Gandhi ji ki antim ichha aur unka balidan
Aapko is adhyay ka kaunsa bhaag sabse adbhut laga? Comments mein zaroor batayein! Video ko like karein aur "Baatcheet with Roshni" ko subscribe karna na bhoolein.
Chapters
- 00:00 Episode 24 ka Parichay
- 00:27 Adhyay 43: Sri Yukteswar ji ka Punarutthan
- 01:50 Guru Sri Yukteswar ka Chamatkari Prakaṭya
- 03:37 Mrityu ke Baad ka Jeevan: Hiranyaloka ka Rahasya
- 06:31 Teen Sharir: Sthool, Sookshm aur Kaaran Sharir ka Gyan
- 09:05 Sookshm Jagat (Astral World) kaisa dikhta hai?
- 15:23 Kaaran Jagat (Causal World) aur aatma ki mukti
- 22:20 Sookshm Jagat mein jeevan ki avadhi
- 26:22 Maya aur teen shariron ka bandhan
- 30:42 Mukt aatma ka anubhav
- 37:13 Karma ka bandhan kaise kaam karta hai?
- 41:17 Kaaran Jagat mein pravesh ki yogyata
- 46:53 Guru ka antim sandesh
- 52:06 Adhyay 44: Mahatma Gandhi ke Saath Wardha Mein
- 55:32 Satyagraha ke 11 vrat
- 59:01 Gandhi ji ke Kutir Udyog aur Charche par vichaar
- 1:03:24 Gauraksha par Mahatma Gandhi ke vichaar
- 1:08:21 Gandhi ji ki patni Kasturba ka tyag
- 1:13:35 Mahatma Gandhi ki Ahimsa ki vyakhya
- 1:18:36 Gandhi ji ka vishwa shanti ka sandesh
- 1:22:37 Gandhi ji ka aakhri sandesh aur unki viraat soch
- 1:28:10 Mahatma Gandhi ki hatya par Jawaharlal Nehru ke shabd
- 1:33:28 Gandhi ji ki antim ichha aur unka balidan