Autobiography of a Yogi · Part 7 of 26

Part-7 Autobiography of a Yogi Chapters 11-12 Hindi Audiobook - Guru ka Ashram

8 March 2025 · 1 ghanta 36 min

Is episode mein

Namaste doston! Main hoon Roshni aur swagat hai aapka mere channel Baatcheet with Roshni par!

Aaj hum "Autobiography of a Yogi" ke adhyay 11 aur 12 ki kahaniyan lekar aaye hain.

Adhyay 11 mein, Paramhansa Yogananda aur unke dost Jitendra bina paise ke Brindaban ki yatra par nikalte hain. Yeh safar ek adbhut pariksha hai vishwas aur ishwar ke bharose ki, jahan unhe divya kripa se khana, rehne ki jagah aur margdarshan milta hai. Yeh kahani humein sikhati hai ki jab hum poori shraddha se Ishwar par bharosa karte hain, toh jeevan mein chamatkar swayam hi hone lagte hain.

Adhyay 12 mein, Yogananda apne guru Sri Yukteswar ji ke ashram mein bitaye anmol samay ka varnan karte hain. Yahaan unhone guru ke margdarshan mein adhyatmik siksha prapt ki aur jeevan ke gehre satyon ko samjha. Guru-shishya sambandh ki gehrai, guru ka prem-poorna margdarshan, aur adhyatmik jeevan mein guru ka mahatva is adhyay ka mukhya sandesh hai.

Aaiye mere saath Paramhansa Yogananda ki is adbhut yatra ko samjhein aur apne vichar comments mein zaroor share karein! Video pasand aaye to like karein aur apne doston ke saath bhi share karein!

Podcast: Autobiography of a Yogi — Ek Yogi ki Atmakatha