Hindi Short Stories with Roshni · Podcast episode

After the Ball in Hindi | Leo Tolstoy ki ek Classic Short Story

Lekhak: Leo Tolstoy

24 Dec 2025 · 28 min · Roshni ki aawaaz mein

Is episode mein

Ek haseen prem kahani ka aisa ant jiski aapne kalpana nahi ki hogi. Leo Tolstoy ki classic kahani 'After the Ball' mein suniye Ivan Vasilevich ki dastan, jo ek shandaar party mein Varenka naam ki ladki se bepanah mohabbat kar baithta hai.

Raat bhar ke naach-gaane aur masoom ishq ke baad, ek subah ka drishya uski poori duniya badal deta hai. Jab Varenka ke robile aur pyaare pita ka ek bhayanak, nirdayi chehra uske saamne aata hai, toh Ivan ke dil mein mohabbat ki jagah ek aisi ghrina paida hoti hai jo uski zindagi ka rukh mod deti hai.

Yeh kahani sirf pyaar ke baare mein nahi, balki insaaniyat, aadarshon aur samaaj ke dohre charitra par ek gehra chintan hai.

Hum har hafte aapke liye aisi hi chuninda kahaniyan lekar aate hain.

Isi podcast se aur episodes