Hindi Short Stories with Roshni · Podcast episode

Namak by Razia Sajjad Zaheer | India-Pakistan Partition & Emotional Borders | Hindi Story

6 Jan 2026 · 17 min · Roshni ki aawaaz mein

Is episode mein

Razia Sajjad Zaheer ki mashhoor kahani "Namak" suniye Roshni ki awaaz mein. Ye kahani Safia ki hai, jo sarhad paar se namak lane ka vaada karti hai. Kya insani rishte siyasi sarhadon se bade hote hain?

Partition ke dard aur insaniyat ki ummeed ko bayan karti ek dilchasp kahani.

About the Author: Razia Sajjad Zaheer Razia Sajjad Zaheer (1917–1979) ek pragatisheel lekhika thin. Unka janm Rajasthan ke Ajmer mein hua tha. Wo Urdu afsana nigari mein ek bada naam hain.

Unki kahaniyan aksar samaji maslon aur manviya emotions par adharit hoti hain. Unhone kayi novel aur laghu kathaayein likhi hain. Unhe 'Soviet Land Nehru Award' se bhi nawaza gaya tha.

"Namak" unki sabse mashhoor rachnaon mein se ek hai jo aaj bhi schools aur colleges (CBSE) mein padhayi jati hai.

Isi podcast se aur episodes